Acharya Prashant
Description
Motivation ka unche-se-uncha granth aaj tak kaunsa hua hai? Shreemadbhagwadgeeta. Arjun ke saamne ek sthiti hai aur wo bheetar se kamzor anubhav kar r
...
ha hai, use koi utsaah nahin aa rha, tb krishn usko samjhaate hain - ye asli motivation hai.
Krishn usko nahin kehte ki, ""Chal, jaldi lad jab tak tu jeet naa jaae!"" Is tarah ka koi shlok hai kya geeta me? Krishn Arjun ko kya yaad dilaate hain? Krishn Arjun ko dharm yaad dilaate hain.
Tumhein motivation ki nahin clarity ki, spashtta ki, gyaan ke zarurat hoti hai. Geeta tumhein kya deti hai? Gyaan deti hai. Utsaah thode hi badhati hai ki veer tum badhe chalo!
Sahi lakshay tumhara utsaahvardhan karke nahin paaya jaata, tumhara gyaanvardhan karke paaya jaata hai. Arjun ka ek baar bhi utsaahvardhan nahin karte Krishn, gyaanvardhan karte hain.
Jaanein motivation se jude sabhi savalon ke arth Acharya Prashant ki is asaan pustak ke madhyam se.
Read more