Dr. Udaynarayan Upadhyay, Prof. Gautam Tiwari
Description
(Romanised in hindi): Kala evam Sthapatya vishay main abhiruchi utpann karna is pustak ka pramukh abhipray hai. Adhyan ki drishti se pustak ko kul aat
...
ha adhyayo main vibhakta kiya gaya hai, pratham adhyay main bharatiya kala ka kramik vikas, kala ka earth, prakar evam uski visheshta ke sath he sthapatya kala ki vyutpatti evam vikas par prachur prakash dala gaya hai. Dusre adhyay main saindhav ghati sabhyata ki sthapatya evam kala se sambandhit mahatvapurna smarakon, murtikala, muhren, mrinmayee murtiyon, mridbhandon evam abhushankala ki samuchit vivechana ki gayee hai. Teesra adhyay purva maurya evam maurya yug se sambandhit hai. Chaturtha adhyay main shung satwahan yug ki sthapatya evam kala ka vidhivat anusheelan kiya gaya hai. Panchvey adhyay main kushankaleen sthapatya ki vivechana ke atirikta is yug ki kala ki do pramukh vidhyaon-Gandhar evam Mathura ke vibhinn pakshon par vidhivat charcha ki gayee hai chathey adhyay main guptakaleen sthapatya kala evam chitrakala ke vibhinn pakshon ko prastut karne ka prayas kiya gaya hai. Saatwan adhyay rajput kaleen sthapatya se sambandhit hai. Aathvey adhyay main dakshin Bharat ki vibhinn sthapatya shailiyon evam tatsambandhi mandiron tatha anya nirmanon ka sachitra vivran prastut kiya gaya hai. Bharatiya sthapatya evam kala par abhi tak prakashit adhikansh prasidh pustakein paschimi vidwano dwara videshi drishtikona se likhi gayee hai. Astu se pray: anek purvagrahon se grasta rahin hai. Parantu prastut pustak main hamara prayas isey nitant bharatiya drishtikon se pramanit tathyon ke aadhar par prastut karne ka raha hai. Sthapatya evam kala sambandhi anek angreji bhasha ke takniki shabdon ke sthan par hindi ke prachalit athwa angreji ke shabdon ka prayog kiya gaya hai.
Read more
Genres
No genres specified
Tags
Subjects
Reading Moods
No reading moods specified
Contributors
No contributors specified
Publishing Info
Publisher
Motilal Banarsidass Publishing House
Month-Year
Jan, 2007
ISBN
ISBN-13: 9788120829015
ISBN-10: 8120829018
Language
Hindi
No. of Pages
259
Format
Paperback
Awards & Recognition
No awards specified
Available at
No purchase options available
First Reviewed by
Claim the Book
Are you an author of this book?
Report
Found an issue or correction?